Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Usman

  • Ghazal


kis ne apna dil jalaya raat ki dahliz par


kis ne apnā dil jalāyā raat kī dahlīz par
kaun hai naġhma-sarā sadmāt kī dahlīz par

ai ḳhudā āsūdgī kā ek lamha mere naam
umr guzrī hai mirī ḳhadshāt kī dahlīz par

umr bhar is dhuup meñ be-sā.ebāñ maiñ bhī rahī
muntazir vo bhī rahā hālāt kī dahlīz par

kaun zevar chāhatoñ ke aur TuuTī chūḌiyāñ
rakh gayā hai ek bichhḌī raat kī dahlīz par

kis ne apna dil jalaya raat ki dahliz par
kaun hai naghma-sara sadmat ki dahliz par

ai KHuda aasudgi ka ek lamha mere nam
umr guzri hai meri KHadshat ki dahliz par

umr bhar is dhup mein be-saeban main bhi rahi
muntazir wo bhi raha haalat ki dahliz par

kaun zewar chahaton ke aur TuTi chuDiyan
rakh gaya hai ek bichhDi raat ki dahliz par


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 468) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+