zahmat kabhī kabhī to mashaqqat kabhī kabhī
lagtī hai zindagī bhī musībat kabhī kabhī
pahlū meñ jāgtī hai mohabbat kabhī kabhī
aatī hai haath dard kī daulat kabhī kabhī
ab tak tire baġhair maiñ zinda huuñ kis tarah
hotī hai apne aap par hairat kabhī kabhī
ik pal kā jo visāl thā un māh-o-sāl meñ
detā hai hijr meñ bhī rifāqat kabhī kabhī
chheḌe vafā kā giit koī naġhma-sāz jab
ḳhud se bhī hone lagtī hai vahshat kabhī kabhī
ik raat hijr kī hai musalsal hamāre saath
tum par guzartī hogī qayāmat kabhī kabhī
sulgī hai terī yaad meñ ye ruuh raat din
dene lagī hai lau ye rifāqat kabhī kabhī
duniyā ke vāste jo bahut be-shu.ūr thā
us se milī hai ishq ko vaq.at kabhī kabhī
mujh ko tirī jafā kā to shikva nahīñ magar
aatī hai yuuñ hī lab pe shikāyat kabhī kabhī
maiñ dard se najāt kī tālib nahīñ magar
'shāhīn' kam ho thoḌī sī shiddat kabhī kabhī
zahmat kabhi kabhi to mashaqqat kabhi kabhi
lagti hai zindagi bhi musibat kabhi kabhi
pahlu mein jagti hai mohabbat kabhi kabhi
aati hai hath dard ki daulat kabhi kabhi
ab tak tere baghair main zinda hun kis tarah
hoti hai apne aap par hairat kabhi kabhi
ek pal ka jo visal tha un mah-o-sal mein
deta hai hijr mein bhi rifaqat kabhi kabhi
chheDe wafa ka git koi naghma-saz jab
KHud se bhi hone lagti hai wahshat kabhi kabhi
ek raat hijr ki hai musalsal hamare sath
tum par guzarti hogi qayamat kabhi kabhi
sulgi hai teri yaad mein ye ruh raat din
dene lagi hai lau ye rifaqat kabhi kabhi
duniya ke waste jo bahut be-shuur tha
us se mili hai ishq ko waqat kabhi kabhi
mujh ko teri jafa ka to shikwa nahin magar
aati hai yun hi lab pe shikayat kabhi kabhi
main dard se najat ki talib nahin magar
'shahin' kam ho thoDi si shiddat kabhi kabhi
Leave a comment