ye hijr kā rāsta hai jis par maiñ tanhā tanhā sī chal rahī huuñ
bas us kī yādoñ kī dhuup hai aur maiñ qatra qatra pighal rahī huuñ
ye vasl-lamhoñ kī raushnī hai jo dil kī duniyā meñ aa basī hai
mahaktī yādoñ kī chāñdnī hai maiñ jis kī kirnoñ se jal rahī huuñ
rah-e-vafā meñ bhaTaktī rahtī jo tere sapnoñ meñ gum na rahtī
tire ḳhayāloñ meñ jī rahī huuñ tire tasavvur meñ Dhal rahī huuñ
shikasta-ḳhvāboñ kī kirchiyāñ haiñ jo merī āñkhoñ meñ chubh rahī haiñ
maiñ ḳhār-zāroñ meñ chal rahī huuñ maiñ girte girte sambhal rahī huuñ
zamāne bhar kī ye talḳhiyāñ haiñ jo mere lahje meñ aa basī haiñ
maiñ apne sheroñ meñ dhīre dhīre ye zahar-e-māya ugal rahī huuñ
karūñgī kyā bāl-o-par ko apne qafas meñ jiinā jo lāzmī hai
kahāñ hai 'shāhīn' shādmānī dukhoñ kī duniyā meñ pal rahī huuñ
ye hijr ka rasta hai jis par main tanha tanha si chal rahi hun
bas us ki yaadon ki dhup hai aur main qatra qatra pighal rahi hun
ye wasl-lamhon ki raushni hai jo dil ki duniya mein aa basi hai
mahakti yaadon ki chandni hai main jis ki kirnon se jal rahi hun
rah-e-wafa mein bhaTakti rahti jo tere sapnon mein gum na rahti
tere KHayalon mein ji rahi hun tere tasawwur mein Dhal rahi hun
shikasta-KHwabon ki kirchiyan hain jo meri aankhon mein chubh rahi hain
main KHar-zaron mein chal rahi hun main girte girte sambhal rahi hun
zamane bhar ki ye talKHiyan hain jo mere lahje mein aa basi hain
main apne sheron mein dhire dhire ye zahar-e-maya ugal rahi hun
karungi kya baal-o-par ko apne qafas mein jina jo lazmi hai
kahan hai 'shahin' shadmani dukhon ki duniya mein pal rahi hun
Leave a comment