Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


jo kho chuke hain wo manzar talash karti hun


jo kho chuke haiñ vo manzar talāsh kartī huuñ
bikhar ga.e haiñ jo paikar talāsh kartī huuñ

kabhī talāsh jo karnā ho apnā aap mujhe
to us kī zaat ke andar talāsh kartī huuñ

bichhaḌ ga.ī huuñ maiñ us se magar nahīñ bichhḌī
jo band us ne kiye dar talāsh kartī huuñ

kabhī jo had se guzar jaa.e dukh to hañstī huuñ
ḳhushī nahīñ jo mayassar talāsh kartī huuñ

qarīb rah ke bhī kartī rahī thī qurb talāsh
maiñ chāhatoñ ke hī zevar talāsh kartī huuñ

ye aarzū hai sanam ko qarīb-tar dekhūñ
so regzār meñ patthar talāsh kartī huuñ

karūñgī us kā tavāf umr bhar maiñ bas 'shāhīñ'
ab apnā markaz-o-mehvar talāsh kartī huuñ

jo kho chuke hain wo manzar talash karti hun
bikhar gae hain jo paikar talash karti hun

kabhi talash jo karna ho apna aap mujhe
to us ki zat ke andar talash karti hun

bichhaD gai hun main us se magar nahin bichhDi
jo band us ne kiye dar talash karti hun

kabhi jo had se guzar jae dukh to hansti hun
KHushi nahin jo mayassar talash karti hun

qarib rah ke bhi karti rahi thi qurb talash
main chahaton ke hi zewar talash karti hun

ye aarzu hai sanam ko qarib-tar dekhun
so regzar mein patthar talash karti hun

karungi us ka tawaf umr bhar main bas 'shahin'
ab apna markaz-o-mehwar talash karti hun


Leave a comment

+