sulag uThī hai koī aag sī havāoñ meñ
badal ga.ī haiñ bahāreñ mirī ḳhizāoñ meñ
na aa.ī raas banāvaT kī zindagī mujh ko
maiñ shahr chhoḌ ke phir aa gayā huuñ gaañv meñ
qadam qadam pe nayā ik ḳhudā nazar aayā
na jaane kaun sā bar-haq hai in ḳhudāoñ meñ
koī umiid kī bārish kā ehtimām karo
maiñ jal rahā huuñ ġham-o-yās kī chitāoñ meñ
bahut kaḌā hai mohabbat ke rāstoñ kā safar
jafā kī dhuup chhupī hai vafā kī chhāñv meñ
sulag uThi hai koi aag si hawaon mein
badal gai hain bahaaren meri KHizaon mein
na aai ras banawaT ki zindagi mujh ko
main shahr chhoD ke phir aa gaya hun ganw mein
qadam qadam pe naya ek KHuda nazar aaya
na jaane kaun sa bar-haq hai in KHudaon mein
koi umid ki barish ka ehtimam karo
main jal raha hun gham-o-yas ki chitaon mein
bahut kaDa hai mohabbat ke raston ka safar
jafa ki dhup chhupi hai wafa ki chhanw mein
Leave a comment