Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


daimi hai ishq aur ek daimi aawaz hai


dā.imī hai ishq aur ik dā.imī āvāz hai
mere kānoñ meñ abhī tak bas vahī āvāz hai

saath mere raat bhar jo jāgtī āvāz hai
kaun jaane ye to merī ruuh kī āvāz hai

hijr ke lamhoñ meñ ab tak ye ḳhabar kab ho sakī
jāgtī huuñ maiñ yā koī jāgtī āvāz hai

hijr jaise vasl meñ us ko sunā to yuuñ lagā
maut jaisī zindagī meñ zindagī āvāz hai

ajnabī sī manziloñ kī ajnabī sī raah meñ
ik mukammal ḳhvāb aur ik ḳhvāb sī āvāz hai

aane vaale daur meñ 'shāhīn' rahnā hai mujhe
sab kaheñge ye vahī ik dukh bharī āvāz hai

daimi hai ishq aur ek daimi aawaz hai
mere kanon mein abhi tak bas wahi aawaz hai

sath mere raat bhar jo jagti aawaz hai
kaun jaane ye to meri ruh ki aawaz hai

hijr ke lamhon mein ab tak ye KHabar kab ho saki
jagti hun main ya koi jagti aawaz hai

hijr jaise wasl mein us ko suna to yun laga
maut jaisi zindagi mein zindagi aawaz hai

ajnabi si manzilon ki ajnabi si rah mein
ek mukammal KHwab aur ek KHwab si aawaz hai

aane wale daur mein 'shahin' rahna hai mujhe
sab kahenge ye wahi ek dukh bhari aawaz hai


Leave a comment

+