Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nabeel Ahmad Nabeel

  • Ghazal


wo hain tayyar imarat ko girane wale


vo haiñ tayyār imārat ko girāne vaale
tū kahāñ hai mirī buniyād uThāne vaale

sochtā huuñ sar-e-sāhil khaḌā jaane kab se
Duub jaate haiñ kahāñ paar lagāne vaale

un se kah do na kareñ dast-e-havas ham pe darāz
ham to piine se ziyāda haiñ pilāne vaale

ġham kī ta.abīr se pahle mujhe mālūm na thā
mere ash.ār ko sañgīt banāne vaale

bādbāñ tez havāoñ se phaTe jaate haiñ
Duub jaa.eñ na kahīñ paar lagāne vaale

raat hotī hai to jalte haiñ mirī āñkhoñ meñ
ye sitāre jo haiñ sūraj ke gharāne vaale

kuchh to hai jis se hai baaqī tirī duniyā kā javāz
kam hī dekhe haiñ ta.alluq ko nibhāne vaale

yūñhī me.aar badalte rahe duniyā ke agar
phir kahāñ ā.eñge milne vahī aane vaale

bāñTte phirte haiñ har samt añdheroñ ko 'nabīl'
silsila apne charāġhoñ kā baḌhāne vaale

wo hain tayyar imarat ko girane wale
tu kahan hai meri buniyaad uThane wale

sochta hun sar-e-sahil khaDa jaane kab se
Dub jate hain kahan par lagane wale

un se kah do na karen dast-e-hawas hum pe daraaz
hum to pine se ziyaada hain pilane wale

gham ki tabir se pahle mujhe malum na tha
mere ashaar ko sangit banane wale

baadban tez hawaon se phaTe jate hain
Dub jaen na kahin par lagane wale

raat hoti hai to jalte hain meri aankhon mein
ye sitare jo hain suraj ke gharane wale

kuchh to hai jis se hai baqi teri duniya ka jawaz
kam hi dekhe hain talluq ko nibhane wale

yunhi mear badalte rahe duniya ke agar
phir kahan aaenge milne wahi aane wale

banTte phirte hain har samt andheron ko 'nabil'
silsila apne charaghon ka baDhane wale


Leave a comment

+