Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kamil Bahzadi

  • Ghazal


ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin


ek bhaTke hue lashkar ke sivā kuchh bhī nahīñ
zindagānī mirī Thokar ke sivā kuchh bhī nahīñ

aap dāman ko sitāroñ se sajā.e rakhiye
merī qismat meñ to patthar ke sivā kuchh bhī nahīñ

terā dāman to chhuḌā le ga.e duniyā vaale
ab mire haath meñ sāġhar ke sivā kuchh bhī nahīñ

merī TuuTī huī kashtī kā ḳhudā hāfiz hai
duur tak gahre samundar ke sivā kuchh bhī nahīñ

log bhopal kī tārīf kiyā karte haiñ
is nagar meñ to tire ghar ke sivā kuchh bhī nahīñ

ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin
zindagani meri Thokar ke siwa kuchh bhi nahin

aap daman ko sitaron se sajae rakhiye
meri qismat mein to patthar ke siwa kuchh bhi nahin

tera daman to chhuDa le gae duniya wale
ab mere hath mein saghar ke siwa kuchh bhi nahin

meri TuTi hui kashti ka KHuda hafiz hai
dur tak gahre samundar ke siwa kuchh bhi nahin

log bhopal ki tarif kiya karte hain
is nagar mein to tere ghar ke siwa kuchh bhi nahin

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin Nomaan Shauque

Leave a comment

+