Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Geetanjali Geet

  • Ghazal


zindagi mein aur koi to meri hasrat nahin


zindagī meñ aur koī to mirī hasrat nahīñ
vaqt terā chāhtī huuñ bas tirī fursat nahīñ

paak kyā rahne diyā hai is jahāñ ne ab batā
jism se matlab ise hai ruuh se raġhbat nahīñ

raah meñ patthar hazāroñ vo kareñ to kyā kareñ
roknā un kā karam ruknā mirī fitrat nahīñ

ik aziyyat meñ sulagtī jā rahī huuñ dar-ba-dar
aur mujhe is aag kī taklīf se rāhat nahīñ

baat sunte bhī nahīñ tum uf samajhte bhī nahīñ
mujh ko paane kī tumhārī zid hai ye ulfat nahīñ

jo kareñ nafrat bharī bāteñ anā-labrez hoñ
kar muaaf ai zindagī aisī mirī sohbat nahīñ

suuī kā ye kaam talvāroñ se kyuuñ lete ho tum
zaḳhm siinā zaḳhm bharnā in kī ye qudrat nahīñ

zindagi mein aur koi to meri hasrat nahin
waqt tera chahti hun bas teri fursat nahin

pak kya rahne diya hai is jahan ne ab bata
jism se matlab ise hai ruh se raghbat nahin

rah mein patthar hazaron wo karen to kya karen
rokna un ka karam rukna meri fitrat nahin

ek aziyyat mein sulagti ja rahi hun dar-ba-dar
aur mujhe is aag ki taklif se rahat nahin

baat sunte bhi nahin tum uf samajhte bhi nahin
mujh ko pane ki tumhaari zid hai ye ulfat nahin

jo karen nafrat bhari baaten ana-labrez hon
kar muaf ai zindagi aisi meri sohbat nahin

sui ka ye kaam talwaron se kyun lete ho tum
zaKHm sina zaKHm bharna in ki ye qudrat nahin


Source: Book : Intekhab Kalam (Pg. 38)

Leave a comment

+