Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


ajnabi shahr ki ajnabi sham mein


ajnabī shahr kī ajnabī shaam meñ
zindagī Dhal ga.ī malgajī shaam meñ

shaam āñkhoñ meñ utrī usī shaam ko
zindagī se ga.ī zindagī shaam meñ

dard kī lahr meñ zindagī bah ga.ī
umr yuuñ kaT ga.ī hijr kī shaam meñ

ishq par āfrīñ jo salāmat rahā
is bikhartī huī surma.ī shaam meñ

har taraf ashk aur siskiyāñ hijr kī
dard hī dard hai har ghaḌī shaam meñ

āḳhirī baar aayā thā milne koī
hijr mujh ko milā vasl kī shaam meñ

raat 'shāhīn'! āñkhoñ meñ kaTne lagī
is tarah gum huī raushnī shaam meñ

ajnabi shahr ki ajnabi sham mein
zindagi Dhal gai malgaji sham mein

sham aankhon mein utri usi sham ko
zindagi se gai zindagi sham mein

dard ki lahr mein zindagi bah gai
umr yun kaT gai hijr ki sham mein

ishq par aafrin jo salamat raha
is bikharti hui surmai sham mein

har taraf ashk aur siskiyan hijr ki
dard hi dard hai har ghaDi sham mein

aaKHiri bar aaya tha milne koi
hijr mujh ko mila wasl ki sham mein

raat 'shahin'! aankhon mein kaTne lagi
is tarah gum hui raushni sham mein


Source: Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 127) Author : Siddiqah Begum Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+