Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dil Shahjahanpuri

  • Ghazal


jahan tak ishq ki taufiq hai rangin banate hain


jahāñ tak ishq kī taufīq hai rañgīñ banāte haiñ
vo sunte haiñ ham un ko sar-guzasht-e-dil sunāte haiñ

udhar haq-ul-yaqīñ hai ab vo aate ab vo aate haiñ
udhar anjum mirī is zehniyat par muskurāte haiñ

shab-e-ġham aur mahjūrī ye aalam aur majbūrī
Tapak paḌte haiñ aañsū jab vo ham ko yaad aate haiñ

vahīñ se dars-e-husn-o-ishq kā āġhāz hotā hai
jahāñ se vāqi.āt-e-zindagī ham bhuul jaate haiñ

hameñ kuchh ishq ke mafhūm par hai tabsira karnā
ik āh-e-sard ko unvān-e-sharah-e-ġham banāte haiñ

bahā kar ashk-e-ḳhūñ khīñchī thiiñ jo ā.īna-e-dil meñ
ham un mauhūm tasvīroñ ko ab rañgīñ banāte haiñ

shabāb-e-zindagī jalvoñ kā ik ma.asūm nazzāra
hameñ ai dil vo afsāne abhī tak yaad aate haiñ

jahan tak ishq ki taufiq hai rangin banate hain
wo sunte hain hum un ko sar-guzasht-e-dil sunate hain

udhar haq-ul-yaqin hai ab wo aate ab wo aate hain
udhar anjum meri is zehniyat par muskuraate hain

shab-e-gham aur mahjuri ye aalam aur majburi
Tapak paDte hain aansu jab wo hum ko yaad aate hain

wahin se dars-e-husn-o-ishq ka aaghaz hota hai
jahan se waqiat-e-zindagi hum bhul jate hain

hamein kuchh ishq ke mafhum par hai tabsira karna
ek aah-e-sard ko unwan-e-sharah-e-gham banate hain

baha kar ashk-e-KHun khinchi thin jo aaina-e-dil mein
hum un mauhum taswiron ko ab rangin banate hain

shabab-e-zindagi jalwon ka ek masum nazzara
hamein ai dil wo afsane abhi tak yaad aate hain


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+