Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Sharma

  • Ghazal


meri udasi mere darmiyan band karo


mirī udāsī mire darmiyān band karo
koī salīqe se ye itr-dān band karo
paḌhā rahā huuñ maiñ bachchoñ ko karbalā kā nisāb
tum apnī tishna-labī kā bakhān band karo

zarā samajhne kī koshish karo mire ashko
vo aaj ḳhush hai tum apnī zabān band karo

maiñ ek shart pe raazī huuñ qaid hone ko
isī qafas meñ mirā āsmān band karo

mujhe akele meñ karnī haiñ ḳhud se kuchh bāteñ
ye merā hukm hai dīvāro kaan band karo

ġhazal meñ laane se ġham aur baḌh gayā hai 'charāġh'
shuter girāo suḳhan kī dukān band karo

meri udasi mere darmiyan band karo
koi saliqe se ye itr-dan band karo
paDha raha hun main bachchon ko karbala ka nisab
tum apni tishna-labi ka bakhan band karo

zara samajhne ki koshish karo mere ashko
wo aaj KHush hai tum apni zaban band karo

main ek shart pe raazi hun qaid hone ko
isi qafas mein mera aasman band karo

mujhe akele mein karni hain KHud se kuchh baaten
ye mera hukm hai diwaro kan band karo

ghazal mein lane se gham aur baDh gaya hai 'charagh'
shuter girao suKHan ki dukan band karo


Leave a comment

+