Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


yaad aati hain hamein jaan tumhaari baaten


yaad aatī haiñ hameñ jaan tumhārī bāteñ
haa.e vo pyaar kī āvāz vo pyārī bāteñ

pahroñ chup rahte haiñ ham aur agar bolte haiñ
vahī phir phir ke ulaTtī haiñ tumhārī bāteñ

ġhair har dam mujhe bāteñ jo sunā jaate haiñ
jāntā huuñ ye maiñ ai jaan tumhārī bāteñ

yaad aatā hai tirā kyā ke evaz kā kahnā
haa.e phir kab maiñ sunūñgā vo gañvārī bāteñ

hai burī baat ye aġhyār se bāteñ karnī
varna ai jaan tirī achchhī haiñ saarī bāteñ

is tarah bol nikalte na sune the ham ne
kartī hai saaf sanam terī sitārī bāteñ

tū vo ejāz-e-bayāñ hai ki masīhā samjheñ
sun leñ ai jaan kisī din jo juārī bāteñ

is liye ashk bahātā huuñ dam-e-fikr-e-suḳhan
ki hamesha raheñ duniyā meñ ye jaarī bāteñ

tū vo gul hai ki agar kaan dhare gulshan meñ
ho zabāñ mauj kare bād-e-bahārī bāteñ

kījiye sehr-bayānī se musaḳhḳhar kyūñ-kar
kabhī suntā nahīñ 'nāsiḳh' vo hamārī bāteñ

yaad aati hain hamein jaan tumhaari baaten
hae wo pyar ki aawaz wo pyari baaten

pahron chup rahte hain hum aur agar bolte hain
wahi phir phir ke ulaTti hain tumhaari baaten

ghair har dam mujhe baaten jo suna jate hain
jaanta hun ye main ai jaan tumhaari baaten

yaad aata hai tera kya ke ewaz ka kahna
hae phir kab main sununga wo ganwari baaten

hai buri baat ye aghyar se baaten karni
warna ai jaan teri achchhi hain sari baaten

is tarah bol nikalte na sune the hum ne
karti hai saf sanam teri sitari baaten

tu wo ejaz-e-bayan hai ki masiha samjhen
sun len ai jaan kisi din jo juari baaten

is liye ashk bahata hun dam-e-fikr-e-suKHan
ki hamesha rahen duniya mein ye jari baaten

tu wo gul hai ki agar kan dhare gulshan mein
ho zaban mauj kare baad-e-bahaari baaten

kijiye sehr-bayani se musaKHKHar kyun-kar
kabhi sunta nahin 'nasiKH' wo hamari baaten


Leave a comment

+