vo muskurā ke mohabbat se jab bhī milte haiñ
mirī nazar meñ hazāroñ gulāb khilte haiñ
tirī nigāh-e-jarāhat asar salāmat-bād
kabhī kabhī ye mire dil ko zaḳhm milte haiñ
nafas nafas meñ machaltī hai mauj-e-nik.hat-o-nūr
kuchh is tarah tire armāñ ke phuul khilte haiñ
maiñ kis tarah tujhe ilzām-e-bevafā.ī duuñ
rah-e-vafā meñ tire naqsh-e-pā bhī milte haiñ
wo muskura ke mohabbat se jab bhi milte hain
meri nazar mein hazaron gulab khilte hain
teri nigah-e-jarahat asar salamat-baad
kabhi kabhi ye mere dil ko zaKHm milte hain
nafas nafas mein machalti hai mauj-e-nikhat-o-nur
kuchh is tarah tere arman ke phul khilte hain
main kis tarah tujhe ilzam-e-bewafai dun
rah-e-wafa mein tere naqsh-e-pa bhi milte hain
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
wo muskura ke mohabbat se jab bhi milte hain
Nomaan Shauque
Source: Book : Loban (Pg. 31) Author : Nadeem Farrukh
Leave a comment