Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


manzar tamam aaj tak aankhon pe bojh hain


manzar tamām aaj tak āñkhoñ pe bojh haiñ
jitne bhī ḳhvāb haiñ mirī palkoñ pe bojh haiñ

utregā chāñd to mirī bhar aa.egī ye aañkh
taare falak se TuuT kar rātoñ pe bojh haiñ

sochoñ pe naqsh haiñ vo jo pal the visāl ke
dukh hijr ke tamām hī lamhoñ pe bojh haiñ

bāteñ us ek yaad kī bātoñ kā husn haiñ
yādeñ us ek yaad kī yādoñ pe bojh haiñ

'najma' kahīñ bhī jhuuT kā jin par gumān ho
aise tamām lafz hī sheroñ pe bojh haiñ

manzar tamam aaj tak aankhon pe bojh hain
jitne bhi KHwab hain meri palkon pe bojh hain

utrega chand to meri bhar aaegi ye aankh
tare falak se TuT kar raaton pe bojh hain

sochon pe naqsh hain wo jo pal the visal ke
dukh hijr ke tamam hi lamhon pe bojh hain

baaten us ek yaad ki baaton ka husn hain
yaaden us ek yaad ki yaadon pe bojh hain

'najma' kahin bhi jhuT ka jin par guman ho
aise tamam lafz hi sheron pe bojh hain


Leave a comment

+