yuuñ bhī jiine ke bahāne nikle
khoj ḳhud apnā lagāne nikle
piiTh par bojh shikam kā le kar
ham tirī yaad jagāne nikle
aañkh lag jaa.e to vahshat kam ho
chāñd kis vaqt na jaane nikle
vahī lamhe jo the lamhoñ se bhī kam
apnī vus.at meñ zamāne nikle
ik tabassum pe Talegī har baat
daaġh dilkash ko dikhāne nikle
qaht ābād-suḳhan meñ 'shāhīn'
kyuuñ ġhazal apnī ginvāne nikle
yun bhi jine ke bahane nikle
khoj KHud apna lagane nikle
piTh par bojh shikam ka le kar
hum teri yaad jagane nikle
aankh lag jae to wahshat kam ho
chand kis waqt na jaane nikle
wahi lamhe jo the lamhon se bhi kam
apni wusat mein zamane nikle
ek tabassum pe Talegi har baat
dagh dilkash ko dikhane nikle
qaht aabaad-suKHan mein 'shahin'
kyun ghazal apni ginwane nikle
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 189) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010
Leave a comment