Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fakhr Zaman

  • Ghazal


jaenge kahan sar pe jab aa jaega suraj


jā.eñge kahāñ sar pe jab aa jā.egā sūraj
vo log jo dīvār ke saa.e meñ khaḌe haiñ

allāh ye lamha to qayāmat kī ghaḌī hai
insān se insān ke saa.e bhī baḌe haiñ

har moḌ pe haiñ sar-ba-falak qasr-numāyāñ
har moḌ pe kashkol liye log khaḌe haiñ

is darja girānī hai ki patthar nahīñ milte
qabroñ pe salībeñ nahīñ insān gaḌe haiñ

jaenge kahan sar pe jab aa jaega suraj
wo log jo diwar ke sae mein khaDe hain

allah ye lamha to qayamat ki ghaDi hai
insan se insan ke sae bhi baDe hain

har moD pe hain sar-ba-falak qasr-numayan
har moD pe kashkol liye log khaDe hain

is darja girani hai ki patthar nahin milte
qabron pe saliben nahin insan gaDe hain


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+