Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Dehlvi

  • Ghazal


de hashr ke wade pe use kaun bhala qarz


de hashr ke va.ade pe use kaun bhalā qarz
tum le ke na dete ho kisī kā na diyā qarz

hai dil meñ agar us se mohabbat kā irāda
le lījiye dushman ke liye ham se vafā qarz

āshiq ke satāne meñ dareġh un ko na hogā
maujūd haiñ lene ko jo mil jaa.e jafā qarz

us haath se do qaul to is haath se lo dil
detā hai koī hashr ke va.ade ye bhalā qarz

maanā ki jafāoñ kī talāfī haiñ vafā.eñ
hogā na 'zahīr' un kī adāoñ kā adā qarz

de hashr ke wade pe use kaun bhala qarz
tum le ke na dete ho kisi ka na diya qarz

hai dil mein agar us se mohabbat ka irada
le lijiye dushman ke liye hum se wafa qarz

aashiq ke satane mein daregh un ko na hoga
maujud hain lene ko jo mil jae jafa qarz

us hath se do qaul to is hath se lo dil
deta hai koi hashr ke wade ye bhala qarz

mana ki jafaon ki talafi hain wafaen
hoga na 'zahir' un ki adaon ka ada qarz


Source: Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 3) Author : Dr. Preem Bhandari Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003) Edition : 2003

Leave a comment

+