Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jai Raj Singh Jhala

  • Ghazal


ab bhala kya dekhte ho aab mein


ab bhalā kyā dekhte ho aab meñ
ġharq sab kuchh ho gayā girdāb meñ

lutf merī maut kā baḌh jaa.e so
zahr aur Daalā gayā zahrāb meñ

ho ga.ī tab nuur se nafrat mujhe
daaġh dekhe jab dil-e-mahtāb meñ

maiñ samajhtā thā jinheñ shīrīñ-dahan
sar-ba-sar bhīge mile tezāb meñ

gūñje hī kaise bhalā sāz-e-jigar
zañg hī jab lag gayā mizrāb meñ

dekhne ke baad saare qā.ede
aib phir dekhe ga.e eraab meñ

zehn meñ koī ḳhayāl aatā nahīñ
hai ravānī hī nahīñ a.asāb meñ

ik ḳhudā se hī tavaqqo thī faqat
nok nikal aa.e magar mehrāb meñ

ḳhāsiyat hai in adab vāloñ meñ ik
maar dete hai adab ādāb meñ

ab bhala kya dekhte ho aab mein
gharq sab kuchh ho gaya girdab mein

lutf meri maut ka baDh jae so
zahr aur Dala gaya zahrab mein

ho gai tab nur se nafrat mujhe
dagh dekhe jab dil-e-mahtab mein

main samajhta tha jinhen shirin-dahan
sar-ba-sar bhige mile tezab mein

gunje hi kaise bhala saz-e-jigar
zang hi jab lag gaya mizrab mein

dekhne ke baad sare qaede
aib phir dekhe gae erab mein

zehn mein koi KHayal aata nahin
hai rawani hi nahin aasab mein

ek KHuda se hi tawaqqo thi faqat
nok nikal aae magar mehrab mein

KHasiyat hai in adab walon mein ek
mar dete hai adab aadab mein


Leave a comment

+