Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


ai zindagi mujhe tera koi to ab sira mile


ai zindagī mujhe tirā koī to ab sirā mile
ki kis nagar milegī tū koī to ab pata mile

kisī kī yaad ne hameñ to ḳhud se duur kar diyā
bas apne aap se hameñ koī to ab judā mile

na jin kī hichkiyoñ ko koī shāna aaj tak milā
unhī ke āñsuoñ ko bhī koī to ab jagah mile

bas apne bām-o-dar se ham nā āshnā rahe sadā
koī to rāhbar mile koī to ab ḳhudā mile

jo thak ga.e haiñ dar-ba-dar vafā tirī talāsh meñ
zamīñ kī god meñ unheñ koī to ab jagah mile

koī junūñ se jā kahe mujhe na ab talāsh kar
ki āgahī ke dasht meñ koī to ab sadā mile

ujaḌ chukīñ haiñ bastiyāñ baseñgī, kis tarah bhalā
vafā ke dar se bas hameñ koī to ab davā mile

haiñ ek jaise aks aur ek sī sarisht bas
hujūm hai hujūm meñ koī to ab judā mile

ai zindagi mujhe tera koi to ab sira mile
ki kis nagar milegi tu koi to ab pata mile

kisi ki yaad ne hamein to KHud se dur kar diya
bas apne aap se hamein koi to ab juda mile

na jin ki hichkiyon ko koi shana aaj tak mila
unhi ke aansuon ko bhi koi to ab jagah mile

bas apne baam-o-dar se hum na aashna rahe sada
koi to rahbar mile koi to ab KHuda mile

jo thak gae hain dar-ba-dar wafa teri talash mein
zamin ki god mein unhen koi to ab jagah mile

koi junun se ja kahe mujhe na ab talash kar
ki aagahi ke dasht mein koi to ab sada mile

ujaD chukin hain bastiyan basengi, kis tarah bhala
wafa ke dar se bas hamein koi to ab dawa mile

hain ek jaise aks aur ek si sarisht bas
hujum hai hujum mein koi to ab juda mile


Leave a comment

+