Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Aasi

  • Ghazal


wo suraten jo baDi shoKH hain sajili hain


vo sūrateñ jo baḌī shoḳh haiñ sajīlī haiñ
unheñ qarīb se dekhā to vo bhī piilī haiñ

maiñ ek jhiil ke taT par udaas baiThā huā
ye sochtā huuñ vo āñkheñ bhī kitnī niilī haiñ

mirī mohabbateñ merī vafā.eñ merā ḳhulūs
tirī kalā.ī meñ ye chūḌiyāñ bhī Dhīlī haiñ

maiñ daldaloñ ke ilāqe meñ aa gayā shāyad
ki dhuup tez hai lekin havā.eñ siilī haiñ

na jaane kaun sā ye shahr hai ki is ke ba.ad
hamāre gird jo rāheñ haiñ sab kaTīlī haiñ

wo suraten jo baDi shoKH hain sajili hain
unhen qarib se dekha to wo bhi pili hain

main ek jhil ke taT par udas baiTha hua
ye sochta hun wo aankhen bhi kitni nili hain

meri mohabbaten meri wafaen mera KHulus
teri kalai mein ye chuDiyan bhi Dhili hain

main daldalon ke ilaqe mein aa gaya shayad
ki dhup tez hai lekin hawaen sili hain

na jaane kaun sa ye shahr hai ki is ke baad
hamare gird jo rahen hain sab kaTili hain


Source: Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 48)

Leave a comment

+