Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faheem Gorakhpuri

  • Ghazal


ai shaiKH mujhko KHwahish-e-bagh-e-iram nahin


ai shaiḳh mujh ko ḳhvāhish-e-bāġh-e-iram nahīñ
kūcha butoñ kā mere liye us se kam nahīñ

pahlī sī us meñ ādat-e-jaur-o-sitam nahīñ
afsos ab yahī hai ki is vaqt ham nahīñ

haañ kū-e-ġhair meñ tire naqsh-e-qadam nahīñ
tujh par mirā gumān ḳhudā kī qasam nahīñ

mujh nīm-jāñ ke qatl meñ tāḳhīr is qadar
ma.alūm ho gayā tire ḳhanjar meñ dam nahīñ

naalo tumhāre haath hai furqat meñ apnī sharm
dekheñ to aaj charḳh nahīñ hai ki ham nahīñ

āb-e-baqā ho mujh ko pilāo jo āb-e-teġh
tum zahr bhī jo do to vo amrit se kam nahīñ

kartā hai mujh se ahd-e-vafā to vo but magar
mujh ko kuchh e'tibār ḳhudā kī qasam nahīñ

mumkin nahīñ kahīñ ho Thikānā 'fahīm' kā
terī nigāh-e-lutf agar ai sanam nahīñ

ai shaiKH mujh ko KHwahish-e-bagh-e-iram nahin
kucha buton ka mere liye us se kam nahin

pahli si us mein aadat-e-jaur-o-sitam nahin
afsos ab yahi hai ki is waqt hum nahin

han ku-e-ghair mein tere naqsh-e-qadam nahin
tujh par mera guman KHuda ki qasam nahin

mujh nim-jaan ke qatl mein taKHir is qadar
malum ho gaya tere KHanjar mein dam nahin

nalo tumhaare hath hai furqat mein apni sharm
dekhen to aaj charKH nahin hai ki hum nahin

aab-e-baqa ho mujh ko pilao jo aab-e-tegh
tum zahr bhi jo do to wo amrit se kam nahin

karta hai mujh se ahd-e-wafa to wo but magar
mujh ko kuchh e'tibar KHuda ki qasam nahin

mumkin nahin kahin ho Thikana 'fahim' ka
teri nigah-e-lutf agar ai sanam nahin


Leave a comment

+