yaar ye ittifāq to dekho
us ko hī dekhtā hai jo dekho
kaash koī mujhe hilā ke kahe
dekho vo aa rahā hai vo dekho
tīrgī se bahut shikāyat thī
ab zarā der shams ko dekho
dekhnā chāhte ho apnā raqīb
aa.ina de rahā huuñ lo dekho
ḳhūbsūrat dikhā.ī detī hai
gar yahī raat sub.h ko dekho
shauq se dekho husn-e-yār magar
phir na kuchh dekhnā ho to dekho
yar ye ittifaq to dekho
us ko hi dekhta hai jo dekho
kash koi mujhe hila ke kahe
dekho wo aa raha hai wo dekho
tirgi se bahut shikayat thi
ab zara der shams ko dekho
dekhna chahte ho apna raqib
aaina de raha hun lo dekho
KHubsurat dikhai deti hai
gar yahi raat subh ko dekho
shauq se dekho husn-e-yar magar
phir na kuchh dekhna ho to dekho
Leave a comment