Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


patjhaD mein KHizaon mein tujhe DhunD rahi hun


patjhaḌ meñ ḳhizāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ
maiñ zard fazāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ

bharne haiñ ka.ī rañg mujhe apne diye meñ
kyuuñ tez havāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ

niklī huuñ kisī dhun meñ kisī yaad ko le kar
aur ujḌī adāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ

maiñ ḳhāk-nashīñ aaj bhī taktī huuñ falak ko
muddat se ḳhalāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ

jīvan mujhe munsif ne atā kī haiñ sazā.eñ
maiñ aaj sazāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ

tujh se mile bichhḌe hue lamhoñ kī qasam hai
gum-gashta sadāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ

'shāhīn' abhī tak ye mire haath haiñ ḳhālī
be-mehr duāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ

patjhaD mein KHizaon mein tujhe DhunD rahi hun
main zard fazaon mein tujhe DhunD rahi hun

bharne hain kai rang mujhe apne diye mein
kyun tez hawaon mein tujhe DhunD rahi hun

nikli hun kisi dhun mein kisi yaad ko le kar
aur ujDi adaon mein tujhe DhunD rahi hun

main KHak-nashin aaj bhi takti hun falak ko
muddat se KHalaon mein tujhe DhunD rahi hun

jiwan mujhe munsif ne ata ki hain sazaen
main aaj sazaon mein tujhe DhunD rahi hun

tujh se mile bichhDe hue lamhon ki qasam hai
gum-gashta sadaon mein tujhe DhunD rahi hun

'shahin' abhi tak ye mere hath hain KHali
be-mehr duaon mein tujhe DhunD rahi hun


Leave a comment

+