mahv-e-dīdār-e-yār huuñ chup huuñ
itnā be-iḳhtiyār huuñ chup huuñ
vo rukhā.ī se ghoñTte haiñ galā
kyā kahūñ be-qarār huuñ chup huuñ
rāz-e-dil gar kahūñ to haal khule
jān-o-jī se nisār huuñ chup huuñ
kaun qātil ke aage dam maare
kyā kahūñ dil-figār huuñ chup huuñ
dekhtā yād-e-chashm meñ 'tanvīr'
sair-o-lail-o-nihār huuñ chup huuñ
mahw-e-didar-e-yar hun chup hun
itna be-iKHtiyar hun chup hun
wo rukhai se ghonTte hain gala
kya kahun be-qarar hun chup hun
raaz-e-dil gar kahun to haal khule
jaan-o-ji se nisar hun chup hun
kaun qatil ke aage dam mare
kya kahun dil-figar hun chup hun
dekhta yaad-e-chashm mein 'tanwir'
sair-o-lail-o-nihaar hun chup hun
Pachas Sala Intekhab"
Leave a comment