Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Banarasi

  • Ghazal


jo KHat hai shikasta hai jo aks hai TuTa hai


jo ḳhat hai shikasta hai jo aks hai TuuTā hai
yā husn tirā jhūTā yā aa.ina jhūTā hai

ham shukr kareñ kis kā shākī hoñ to kis ke huuñ
rahzan ne bhī luuTā hai rahbar ne bhī luuTā hai

yaad aayā in āñkhoñ kā paimān-e-vafā jab bhī
sāġhar mire hāthoñ se be-sāḳhta chhūTā hai

har chehre pe likkhā hai ik qissa-e-mazlūmī
bedard zamāne ne har shaḳhs ko luuTā hai

manzil kī tamannā meñ sar-garm-e-safar haiñ sab
kaun us ke liye ro.e jo raah meñ chhūTā hai

allāh re 'hafīz' us kā ye zauq-e-ḳhud-ārā.ī
jab zulf sañvārī hai ik aa.ina TuuTā hai

jo KHat hai shikasta hai jo aks hai TuTa hai
ya husn tera jhuTa ya aaina jhuTa hai

hum shukr karen kis ka shaki hon to kis ke hun
rahzan ne bhi luTa hai rahbar ne bhi luTa hai

yaad aaya in aankhon ka paiman-e-wafa jab bhi
saghar mere hathon se be-saKHta chhuTa hai

har chehre pe likkha hai ek qissa-e-mazlumi
bedard zamane ne har shaKHs ko luTa hai

manzil ki tamanna mein sar-garm-e-safar hain sab
kaun us ke liye roe jo rah mein chhuTa hai

allah re 'hafiz' us ka ye zauq-e-KHud-arai
jab zulf sanwari hai ek aaina TuTa hai


Volume-001"

Leave a comment

+