Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Arif

  • Ghazal


ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai


ahl-e-mohabbat kī majbūrī baḌhtī jaatī hai
miTTī se gulāb kī duurī baḌhtī jaatī hai

mehrāboñ se mahal-sarā tak Dheroñ-Dher charāġh
jalte jaate haiñ be-nūrī baḌhtī jaatī hai

kārobār meñ ab ke ḳhasāra aur tarah kā hai
kaam nahīñ baḌhtā mazdūrī baḌhtī jaatī hai

jaise jaise jism tashaffī paatā jaatā hai
vaise vaise qalb se duurī baḌhtī jaatī hai

girya-e-nīm-shabī kī ne.amat jab se bahāl huī
har lahza ummīd-e-huzūrī baḌhtī jaatī hai

ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai
miTTi se gulab ki duri baDhti jati hai

mehrabon se mahal-sara tak Dheron-Dher charagh
jalte jate hain be-nuri baDhti jati hai

karobar mein ab ke KHasara aur tarah ka hai
kaam nahin baDhta mazduri baDhti jati hai

jaise jaise jism tashaffi pata jata hai
waise waise qalb se duri baDhti jati hai

girya-e-nim-shabi ki neamat jab se bahaal hui
har lahza ummid-e-huzuri baDhti jati hai


Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 188) Author : faizahmad faiz Publication : educational publishing house (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+