Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


zamin mile kahin hamein kahin to aasman mile


zamīñ mile kahīñ hameñ kahīñ to āsmāñ mile
dukhoñ kī dhuup meñ shajar koī to mehrbāñ mile

tire firāq meñ jiye tire firāq meñ mare
chalo ye ḳhvāb hī sahī visāl kā gumāñ mile

alam kī shaam aa ga.ī lo mere naam aa ga.ī
charāġh le ke raah meñ ai kaash mehrbāñ mile

abhī talak fuġhāñ huuñ maiñ misāl-e-dāstāñ huuñ maiñ
mile to ek pal kabhī kahīñ to kārvāñ mile

ajiib se vo rañg the sabhī ke haath sañg the
hameñ to ġhair bhī sabhī misāl-e-dostāñ mile

jabīñ jabīñ nahīñ rahī to mah-jabīñ nahīñ rahī
na log vo kahīñ mile na tujh ko āstāñ mile

zamin mile kahin hamein kahin to aasman mile
dukhon ki dhup mein shajar koi to mehrban mile

tere firaq mein jiye tere firaq mein mare
chalo ye KHwab hi sahi visal ka guman mile

alam ki sham aa gai lo mere nam aa gai
charagh le ke rah mein ai kash mehrban mile

abhi talak fughan hun main misal-e-dastan hun main
mile to ek pal kabhi kahin to karwan mile

ajib se wo rang the sabhi ke hath sang the
hamein to ghair bhi sabhi misal-e-dostan mile

jabin jabin nahin rahi to mah-jabin nahin rahi
na log wo kahin mile na tujh ko aastan mile


Source: Patta Patta

Leave a comment

+