Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dattatriya Kaifi

  • Ghazal


ulfat ke imtihan mein aghyar fail nikle


ulfat ke imtihāñ meñ aġhyār fail nikle
the paas ek ham hī jo jaañ pe khel nikle

teġh-o-sināñ ko rakh do āñkheñ laḌāo ham se
achchhī hai vo laḌā.ī jis meñ ki mel nikle

dekhā jo nuur us kā to khul ga.ī haiñ āñkheñ
duniyā-o-dīñ ke jhagḌe bachchoñ kā khel nikle

ummīd nekiyoñ kī rakkho na tum buroñ se
mumkin nahīñ khalī se hargiz jo tel nikle

kab kohkan se uTThā koh-e-girāñ se ulfat
in saḳhtiyoñ ko 'kaifī' kuchh ham hī jhel nikle

ulfat ke imtihan mein aghyar fail nikle
the pas ek hum hi jo jaan pe khel nikle

tegh-o-sinan ko rakh do aankhen laDao hum se
achchhi hai wo laDai jis mein ki mel nikle

dekha jo nur us ka to khul gai hain aankhen
duniya-o-din ke jhagDe bachchon ka khel nikle

ummid nekiyon ki rakkho na tum buron se
mumkin nahin khali se hargiz jo tel nikle

kab kohkan se uTTha koh-e-giran se ulfat
in saKHtiyon ko 'kaifi' kuchh hum hi jhel nikle


Leave a comment

+