Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Aali

  • Ghazal


dil aabaad kahan rah pae uski yaad bhula dene se


dil ābād kahāñ rah paa.e us kī yaad bhulā dene se
kamra vīrāñ ho jaatā hai ik tasvīr haTā dene se

be-tābī kuchh aur baḌhā dī ek jhalak dikhlā dene se
pyaas bujhe kaise sahrā kī do būñdeñ barsā dene se

hañstī āñkheñ lahū rulā.eñ khilte gul chehre murjhā.eñ
kyā paa.eñ be-mahr havā.eñ dil dhāge uljhā dene se

ham ki jinheñ taare bone the ham ki jinheñ sūraj the ugāne
aas liye baiThe haiñ sahar kī jalte diye bujhā dene se

aalī sher ho yā afsāna yā chāhat kā taanā baanā
lutf adhūrā rah jaatā hai puurī baat batā dene se

dil aabaad kahan rah pae us ki yaad bhula dene se
kamra viran ho jata hai ek taswir haTa dene se

be-tabi kuchh aur baDha di ek jhalak dikhla dene se
pyas bujhe kaise sahra ki do bunden barsa dene se

hansti aankhen lahu rulaen khilte gul chehre murjhaen
kya paen be-mahr hawaen dil dhage uljha dene se

hum ki jinhen tare bone the hum ki jinhen suraj the ugane
aas liye baiThe hain sahar ki jalte diye bujha dene se

aali sher ho ya afsana ya chahat ka tana bana
lutf adhura rah jata hai puri baat bata dene se


Source: Book : 1857 Ke Inquilab Ka Aini Shahid George Puech Shor (Pg. 185) Author : Dr. Rahat Abrar Publication : Educational Publishing House (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+