Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chander Wahid

  • Ghazal


mujh pe mizrab to hai saz kahan se laun


mujh pe mizrāb to hai saaz kahāñ se lā.ūñ
dil meñ ghar karne ke andāz kahāñ se lā.ūñ

mere gītoñ meñ bhī pur-kaif kashish hai lekin
ho asar jis meñ vo āvāz kahāñ se lā.ūñ

merī har baat batā detī haiñ merī āñkheñ
jo rahe dil meñ hī vo raaz kahāñ se lā.ūñ

intihā hai to koī ibtidā lāzim hogī
apne anjām kā āġhāz kahāñ se lā.ūñ

mere siine meñ bhī uḌne kī lalak hai lekin
toḌ de piñjrā vo parvāz kahāñ se lā.ūñ

mujh pe mizrab to hai saz kahan se laun
dil mein ghar karne ke andaz kahan se laun

mere giton mein bhi pur-kaif kashish hai lekin
ho asar jis mein wo aawaz kahan se laun

meri har baat bata deti hain meri aankhen
jo rahe dil mein hi wo raaz kahan se laun

intiha hai to koi ibtida lazim hogi
apne anjam ka aaghaz kahan se laun

mere sine mein bhi uDne ki lalak hai lekin
toD de pinjra wo parwaz kahan se laun


Source: Book : Ehsas ki Hijrat (Gazal Collection) (Pg. 37) Author : Zafar Imam Publication : Asri Sang-e-meel Publications, Patna (2008) Edition : 2008

Leave a comment

+