kaho to aaj dil-e-be-qarār kaise ho
shab-e-alam ke satā.e nazār kaise ho
havas yahī hai ki pūchhe vo aa ke ham se kabhī
hamārī diid ke ummīd-vār kaise ho
taḌap rahe ho lahad meñ ki chain-o-rāhat hai
kaho to mujh se ki ahl-e-mazār kaise ho
na is tarah karo pāmāl dil ko āshiq ke
samand-e-nāz ko roko savār kaise ho
hamārī raah na khoTī karo ḳhudā ke liye
hameñ satāo na sahrā ke ḳhaar kaise ho
kinārā ḳhvāb ko hai chashm-e-tar se āshiq ke
ḳhayāl-e-jalva-e-dīdār-e-yār kaise ho
'jamīla' merī zabāñ se na kuchh nikal jaa.e
vo mujh se pūchhte haiñ baar baar kaise ho
kaho to aaj dil-e-be-qarar kaise ho
shab-e-alam ke satae nazar kaise ho
hawas yahi hai ki puchhe wo aa ke hum se kabhi
hamari did ke ummid-war kaise ho
taDap rahe ho lahad mein ki chain-o-rahat hai
kaho to mujh se ki ahl-e-mazar kaise ho
na is tarah karo pamal dil ko aashiq ke
samand-e-naz ko roko sawar kaise ho
hamari rah na khoTi karo KHuda ke liye
hamein satao na sahra ke KHar kaise ho
kinara KHwab ko hai chashm-e-tar se aashiq ke
KHayal-e-jalwa-e-didar-e-yar kaise ho
'jamila' meri zaban se na kuchh nikal jae
wo mujh se puchhte hain bar bar kaise ho
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment