Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


KHwabon mein bhi gar wasl ka imkan nahin hai


ḳhvāboñ meñ bhī gar vasl kā imkān nahīñ hai
shab jāgte rahne meñ bhī nuqsān nahīñ hai

rasta vo badalnā hī thā ham donoñ ne lekin
hairat to yahī hai ki tū hairān nahīñ hai

kyuuñ ḳhauf-zada ho ga.e tum ek ghaTā se
maiñ ne to batāyā thā ki tūfān nahīñ hai

phir kaun yahāñ aisā jo pahchāntā mujh ko
jab tere sivā koī bhī pahchān nahīñ hai

'shāhīn' go ujḌā huā rasta to hai lekin
ye dil kī tarah gosha-e-vīrān nahīñ hai

KHwabon mein bhi gar wasl ka imkan nahin hai
shab jagte rahne mein bhi nuqsan nahin hai

rasta wo badalna hi tha hum donon ne lekin
hairat to yahi hai ki tu hairan nahin hai

kyun KHauf-zada ho gae tum ek ghaTa se
main ne to bataya tha ki tufan nahin hai

phir kaun yahan aisa jo pahchanta mujh ko
jab tere siwa koi bhi pahchan nahin hai

'shahin' go ujDa hua rasta to hai lekin
ye dil ki tarah gosha-e-viran nahin hai


Leave a comment

+