Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


nahin haal-e-dehli sunane ke qabil


nahīñ hāl-e-dehlī sunāne ke qābil
ye qissa hai aañsū bahāne ke qābil

ujāḌe haiñ vo qasr ek ek is ke
jo the dekhne aur dikhāne ke qābil

na aa.ī ḳhush-ābādī un kī falak ko
na the varna vo to miTāne ke qābil

na paayā koī aur un ke sivā kyā
falak kyā vahī the satāne ke qābil

kiyā aah barbād chun chun ke un ko
na the jo ki barbād jaane ke qābil

milāyā jinheñ ḳhaak meñ tū ne vo to
na the ḳhaak meñ yuuñ milāne ke qābil

nahīñ ghus lagāne ko chiḌiyā talak vo
jahāñ jam.a the ik zamāne ke qābil

sitam sā sitam tū ne Dhāyā hai zālim
nahīñ baat ye muñh pe laane ke qābil

unheñ ḳhāk-e-zillat pe paTkā hai the vo
jo āñkhoñ ke uupar biThāne ke qābil

kaheñ haiñ sab ahbāb dehlī ko chaliye
rahī hai kahāñ ab vo jaane ke qābil

jise dekh kahte the sayyāh-e-ālam
ye hai jā-e-ārām paane ke qābil

use dekh bulbul bhī kahtī hai ye jā
nahīñ āshiyāñ ab banāne ke qābil

sunā jis ne ye haal afsos khāyā
ye hai haal afsos khāne ke qābil

ilāhī basā phir tū apne karam se
use kyūñki hai vo basāne ke qābil

dikhā.e haiñ afsos vo dil falak ne
na the 'aish' jo dil dikhāne ke qābil

nahin haal-e-dehli sunane ke qabil
ye qissa hai aansu bahane ke qabil

ujaDe hain wo qasr ek ek is ke
jo the dekhne aur dikhane ke qabil

na aai KHush-abaadi un ki falak ko
na the warna wo to miTane ke qabil

na paya koi aur un ke siwa kya
falak kya wahi the satane ke qabil

kiya aah barbaad chun chun ke un ko
na the jo ki barbaad jaane ke qabil

milaya jinhen KHak mein tu ne wo to
na the KHak mein yun milane ke qabil

nahin ghus lagane ko chiDiya talak wo
jahan jama the ek zamane ke qabil

sitam sa sitam tu ne Dhaya hai zalim
nahin baat ye munh pe lane ke qabil

unhen KHak-e-zillat pe paTka hai the wo
jo aankhon ke upar biThane ke qabil

kahen hain sab ahbab dehli ko chaliye
rahi hai kahan ab wo jaane ke qabil

jise dekh kahte the sayyah-e-alam
ye hai ja-e-aram pane ke qabil

use dekh bulbul bhi kahti hai ye ja
nahin aashiyan ab banane ke qabil

suna jis ne ye haal afsos khaya
ye hai haal afsos khane ke qabil

ilahi basa phir tu apne karam se
use kyunki hai wo basane ke qabil

dikhae hain afsos wo dil falak ne
na the 'aish' jo dil dikhane ke qabil


Leave a comment

+