Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


yaadon ke saeban mein basar kar rahi hai raat


yādoñ ke sā.ebāñ meñ basar kar rahī hai raat
ḳhāke meñ zindagī ke dhanak bhar rahī hai raat

mujh se hai ham-kalām yā tujh se hai us kī baat
vīrān rāstoñ kā safar kar rahī hai raat

muddat se jal rahe haiñ yahāñ aas ke diye
bujhte charāġh ko bhī qamar kar rahī hai raat

un kī mahak hai aaj mire dil se duur kyuuñ
phūloñ se jholiyoñ ko agar bhar rahī hai raat

dil ko kiyā malūl aur vīrān aañkh ko
kuchh yuuñ bhī jism-o-jāñ meñ qadam dhar rahī hai raat

rakh kar ridā-e-ishq meñ kuchh phuul aur ḳhvāb
'shāhīn' aaj merī tarah mar rahī hai raat

yaadon ke saeban mein basar kar rahi hai raat
KHake mein zindagi ke dhanak bhar rahi hai raat

mujh se hai ham-kalam ya tujh se hai us ki baat
viran raston ka safar kar rahi hai raat

muddat se jal rahe hain yahan aas ke diye
bujhte charagh ko bhi qamar kar rahi hai raat

un ki mahak hai aaj mere dil se dur kyun
phulon se jholiyon ko agar bhar rahi hai raat

dil ko kiya malul aur viran aankh ko
kuchh yun bhi jism-o-jaan mein qadam dhar rahi hai raat

rakh kar rida-e-ishq mein kuchh phul aur KHwab
'shahin' aaj meri tarah mar rahi hai raat


Leave a comment

+