Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


dard musafir Thahar gaya tha akhiyon ki hairani mein


dard musāfir Thahar gayā thā akhiyoñ kī hairānī meñ
sirf mohabbat bahtī thī aur saath ye ashk ravānī meñ

kaise huā aur kab ye huā kuchh ḳhabar nahīñ thī dil ko to
ek mohabbat jā soī thī vahshat meñ vīrānī meñ

dard kī shiddat aur baḌhī thī shahr-e-vafā kī shāmoñ meñ
aur vīrānī baiTh ga.ī thī in akhiyoñ ke paanī meñ

is hastī ke añdhiyāroñ ne baḳht ko aise gherā thā
apnī sadā tak ujaḌ ga.ī thī dil kī nauha-ḳhvānī meñ

ek suḳhnavar ke lafzoñ ne mujh ko yuuñ barbād kiyā
lutf samā.at ko miltā hai ab to zahr-afshānī meñ

us ne anjānī sī bāteñ kiiñ to phir ye ilm huā
ham to daanā samajh rahe the ḳhud ko baḌī nādānī meñ

dard musafir Thahar gaya tha akhiyon ki hairani mein
sirf mohabbat bahti thi aur sath ye ashk rawani mein

kaise hua aur kab ye hua kuchh KHabar nahin thi dil ko to
ek mohabbat ja soi thi wahshat mein virani mein

dard ki shiddat aur baDhi thi shahr-e-wafa ki shamon mein
aur virani baiTh gai thi in akhiyon ke pani mein

is hasti ke andhiyaron ne baKHt ko aise ghera tha
apni sada tak ujaD gai thi dil ki nauha-KHwani mein

ek suKHnawar ke lafzon ne mujh ko yun barbaad kiya
lutf samaat ko milta hai ab to zahr-afshani mein

us ne anjaani si baaten kin to phir ye ilm hua
hum to dana samajh rahe the KHud ko baDi nadani mein


Leave a comment

+