Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Gilani

  • Ghazal


nasheb-e-hijr mein din iKHtitam karte hue


nasheb-e-hijr meñ din iḳhtitām karte hue
maiñ ḳhud meñ Dūbtā jaatā thā shaam karte hue

har ek lahr hai apne isī bahāo meñ
maiñ thak gayā tire dariyā ko raam karte hue

baras paḌā jo kisī roz mujh pe aks mirā
darūn-e-ā.ina-ḳhāna qayām karte hue

mire sukūt ko dohrāne vaale ye dar-o-bām
sunā.ī dene lage haiñ kalām karte hue

tamām-umr tirī rahguzar pe baiTh rahā
mirā ġhubār tirā ehtirām karte hue

ye ḳhāmushī hai to rukiye baġhaur sunte hue
suḳhanvarī hai to chaliye tamām karte hue

gurez-pā.ī kī had se guzar gayā thā vo shaḳhs
'na.īm' duur se mujh ko salām karte hue

nasheb-e-hijr mein din iKHtitam karte hue
main KHud mein Dubta jata tha sham karte hue

har ek lahr hai apne isi bahao mein
main thak gaya tere dariya ko ram karte hue

baras paDa jo kisi roz mujh pe aks mera
darun-e-aina-KHana qayam karte hue

mere sukut ko dohrane wale ye dar-o-baam
sunai dene lage hain kalam karte hue

tamam-umr teri rahguzar pe baiTh raha
mera ghubar tera ehtiram karte hue

ye KHamushi hai to rukiye baghaur sunte hue
suKHanwari hai to chaliye tamam karte hue

gurez-pai ki had se guzar gaya tha wo shaKHs
'naim' dur se mujh ko salam karte hue


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+