Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Haidar

  • Ghazal


jab ek shaKHs apna Thikana badal gaya


jab ek shaḳhs apnā Thikāna badal gayā
phir us ke saath saarā zamāna badal gayā

badlī nigāh-e-nāz kisī ḳhush-jamāl ne
badlā ruḳh-e-kamān nishāna badal gayā

bārish meñ tez dhuup nikal aa.ī chār-sū
mausam thā vo jo ḳhuub suhānā badal gayā

vo shaḳhs be-sabāt kā matlab batā.egā
vo shaḳhs jis kā dost purānā badal gayā

hijrat ke saath saath ma.īshat badal ga.ī
shajre ke saath saath gharānā badal gayā

be-chārī laḌkiyoñ kā bhī kaisā nasīb hai
nisbat badal ga.ī to Thikāna badal gayā

jab ek shaKHs apna Thikana badal gaya
phir us ke sath sara zamana badal gaya

badli nigah-e-naz kisi KHush-jamal ne
badla ruKH-e-kaman nishana badal gaya

barish mein tez dhup nikal aai chaar-su
mausam tha wo jo KHub suhana badal gaya

wo shaKHs be-sabaat ka matlab bataega
wo shaKHs jis ka dost purana badal gaya

hijrat ke sath sath maishat badal gai
shajre ke sath sath gharana badal gaya

be-chaari laDkiyon ka bhi kaisa nasib hai
nisbat badal gai to Thikana badal gaya


Source: Book : Teksaal (Pg. 149) Author : Tafzeel Ahmad Publication : kasauti Publication (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+