Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahir Aarwi

  • Ghazal


aisa nahin koi ki shanasa kahen jise


aisā nahīñ koī ki shanāsā kaheñ jise
miltā kahāñ hai koī ham apnā kaheñ jise

ik markaz-e-ḳhayāl hai duniyā kaheñ jise
koī nazar to aa.e ki tum sā kaheñ jise

saaya bhī bhāgtā hai jahāñ apnī zaat se
vo hai sarāb dasht-e-tamannā kaheñ jise

zulf-e-darāz ban ke ulajhtī rahī mudām
ik tār-e-ankabūt hai duniyā kahīñ jise

'māhir' vahī na kahte haiñ sab jis ko aadmī
haiñ ḳhūbiyāñ hī kyā ki ham achchhā kaheñ jise

aisa nahin koi ki shanasa kahen jise
milta kahan hai koi hum apna kahen jise

ek markaz-e-KHayal hai duniya kahen jise
koi nazar to aae ki tum sa kahen jise

saya bhi bhagta hai jahan apni zat se
wo hai sarab dasht-e-tamanna kahen jise

zulf-e-daraaz ban ke ulajhti rahi mudam
ek tar-e-ankabut hai duniya kahin jise

'mahir' wahi na kahte hain sab jis ko aadmi
hain KHubiyan hi kya ki hum achchha kahen jise


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 330) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+