Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iman Qaisrani

  • Ghazal


tu apni zat ke zindan se gar rihai de


tū apnī zaat ke zindāñ se gar rihā.ī de
tū mujh ko phir mire ham-zād kuchh dikhā.ī de

bas ek ghar ho ḳhudā.ī meñ kā.enāt mirī
mire ḳhudā mujhe itnī baḌī ḳhudā.ī de

maiñ us ko bhūlnā chāhūñ to guuñj kī sūrat
vo mujh ko ruuh kī pātāl meñ dikhā.ī de

bujhā chukā hai zamāna charāġh sab lekin
ye merā ishq ki har rāsta dikhā.ī de

hamāre shahr ke saudāgaroñ kī mahfil meñ
vo ek shaḳhs ki sab se alag dikhā.ī de

use ġhurūr atā hai koī to ab aa.e
jo us ke dast meñ bhī kāsa-e-gadā.ī de

palaT bhī saktī huuñ 'īmāñ' fanā kī rāhoñ se
agar koī mujhe us naam kī dahā.ī de

tu apni zat ke zindan se gar rihai de
tu mujh ko phir mere ham-zad kuchh dikhai de

bas ek ghar ho KHudai mein kaenat meri
mere KHuda mujhe itni baDi KHudai de

main us ko bhulna chahun to gunj ki surat
wo mujh ko ruh ki patal mein dikhai de

bujha chuka hai zamana charagh sab lekin
ye mera ishq ki har rasta dikhai de

hamare shahr ke saudagaron ki mahfil mein
wo ek shaKHs ki sab se alag dikhai de

use ghurur ata hai koi to ab aae
jo us ke dast mein bhi kasa-e-gadai de

palaT bhi sakti hun 'iman' fana ki rahon se
agar koi mujhe us nam ki dahai de


Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 780) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers

Leave a comment

+