Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jagat Mohan Lal Ravan

  • Ghazal


rah-o-rasm-e-ibtidai dekh li


rāh-o-rasm-e-ibtidā.ī dekh lī
intihā-e-bevafā.ī dekh lī

sāmne tārīf ġhībat meñ gila
aap ke dil kī safā.ī dekh lī

ab nahīñ milnā kisī se bhī pasand
sab kī achchhā.ī burā.ī dekh lī

naam bhī dāman pe surḳhī kā nahīñ
diida o dil kī kamā.ī dekh lī

be-ḳhabar haiñ vo mire hālāt se
nāla-e-dil kī rasā.ī dekh lī

ishq apnā hai faqat itnā 'ravāñ'
achchhī sūrat aage aa.ī dekh lī

rah-o-rasm-e-ibtidai dekh li
intiha-e-bewafai dekh li

samne tarif ghibat mein gila
aap ke dil ki safai dekh li

ab nahin milna kisi se bhi pasand
sab ki achchhai burai dekh li

nam bhi daman pe surKHi ka nahin
dida o dil ki kamai dekh li

be-KHabar hain wo mere haalat se
nala-e-dil ki rasai dekh li

ishq apna hai faqat itna 'rawan'
achchhi surat aage aai dekh li

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 rah-o-rasm-e-ibtidai dekh li Nomaan Shauque

Source: Book : Teksaal (Pg. 106) Author : Tafzeel Ahmad Publication : kasauti Publication (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+