ruḳh-e-zebā idhar nahīñ kartā
chāhtā hai magar nahīñ kartā
sochtā hai magar samajhtā nahīñ
dekhtā hai nazar nahīñ kartā
band hai us kā dar agar mujh par
kyuuñ mujhe dar-ba-dar nahīñ kartā
harf-e-inkār aur itnā tavīl
baat ko muḳhtasar nahīñ kartā
na kare shahr meñ vo hai to sahī
mehrbānī agar nahīñ kartā
husn us kā usī maqām pe hai
ye musāfir safar nahīñ kartā
jā ke samjhā.eñ kyā use ki 'zafar'
tū bhī to darguzar nahīñ kartā
ruKH-e-zeba idhar nahin karta
chahta hai magar nahin karta
sochta hai magar samajhta nahin
dekhta hai nazar nahin karta
band hai us ka dar agar mujh par
kyun mujhe dar-ba-dar nahin karta
harf-e-inkar aur itna tawil
baat ko muKHtasar nahin karta
na kare shahr mein wo hai to sahi
mehrbani agar nahin karta
husn us ka usi maqam pe hai
ye musafir safar nahin karta
ja ke samjhaen kya use ki 'zafar'
tu bhi to darguzar nahin karta
Source: Raqs-e-lamhaat
Leave a comment