Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


ji leti hai wo zulf-e-siyah-fam hamara


jī letī hai vo zulf-e-siyah-fām hamārā
bujhtā hai charāġh aaj sar-e-shām hamārā

aisā koī gumnām zamāne meñ na hogā
gum ho vo nagīñ jis pe khude naam hamārā

avval to na qāsid ko rahe kū-e-sanam yaad
pahuñche to farāmosh ho paiġhām hamārā

ham go ki haiñ dīvāne magar ġharq-e-yam-e-ashk
yūnān ke mānind huā naam hamārā

mai paa.ī na piine ko to ham pī ga.e aañsū
ashkoñ se bhī saaqī na bharā jaam hamārā

ka.abe meñ bhī vahshat kī rahī dast-darāzī
sad-chāk kiyā jāma-e-ehrām hamārā

tiflī meñ thī ik daaya haiñ ab chaar ke kāñdhe
āġhāz se kyā ḳhuub hai anjām hamārā

ik-ādh rahe jism-e-mushabbak meñ tirā tiir
ḳhālī na kabhī said se ho daam hamārā

kaam auroñ ke jaarī raheñ nākām raheñ ham
ab aap kī sarkār meñ kyā kaam hamārā

'nāsiḳh' kaheñ jald aa ke kaheñ qāsid-e-jānāñ
ḳhat lījiye dilvā.iye in.aam hamārā

ji leti hai wo zulf-e-siyah-fam hamara
bujhta hai charagh aaj sar-e-sham hamara

aisa koi gumnam zamane mein na hoga
gum ho wo nagin jis pe khude nam hamara

awwal to na qasid ko rahe ku-e-sanam yaad
pahunche to faramosh ho paigham hamara

hum go ki hain diwane magar gharq-e-yam-e-ashk
yunan ke manind hua nam hamara

mai pai na pine ko to hum pi gae aansu
ashkon se bhi saqi na bhara jam hamara

kabe mein bhi wahshat ki rahi dast-daraazi
sad-chaak kiya jama-e-ehram hamara

tifli mein thi ek daya hain ab chaar ke kandhe
aaghaz se kya KHub hai anjam hamara

ik-adh rahe jism-e-mushabbak mein tera tir
KHali na kabhi said se ho dam hamara

kaam auron ke jari rahen nakaam rahen hum
ab aap ki sarkar mein kya kaam hamara

'nasiKH' kahen jald aa ke kahen qasid-e-jaanan
KHat lijiye dilwaiye inam hamara


Leave a comment

+