zarā mohtāt honā chāhiye thā
baġhair ashkoñ ke ronā chāhiye thā
ab un ko yaad kar ke ro rahe haiñ
bichhaḌte vaqt ronā chāhiye thā
mirī va.ada-ḳhilāfī par vo chup hai
use nārāz honā chāhiye thā
chalā aatā yaqīnan ḳhvāb meñ vo
hameñ kal raat sonā chāhiye thā
suī dhāga mohabbat ne diyā thā
to kuchh siina pironā chāhiye thā
hamārā haal tum bhī pūchhte ho
tumheñ ma.alūm honā chāhiye thā
vafā majbūr tum ko kar rahī thī
to phir majbūr honā chāhiye thā
zara mohtat hona chahiye tha
baghair ashkon ke rona chahiye tha
ab un ko yaad kar ke ro rahe hain
bichhaDte waqt rona chahiye tha
meri wada-KHilafi par wo chup hai
use naraaz hona chahiye tha
chala aata yaqinan KHwab mein wo
hamein kal raat sona chahiye tha
sui dhaga mohabbat ne diya tha
to kuchh sina pirona chahiye tha
hamara haal tum bhi puchhte ho
tumhein malum hona chahiye tha
wafa majbur tum ko kar rahi thi
to phir majbur hona chahiye tha
Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 784) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Leave a comment