imārat ho ki ġhurbat boltī hai
ba-har-sūrat sharāfat boltī hai
vahāñ bāzār kā hotā hai manzar
jahāñ ghar kī zarūrat boltī hai
zabāñ ḳhāmosh hī rahtī hai lekin
mire chehre kī rañgat boltī hai
ba-zāhir guftugū hai muḳhlisāna
magar dil meñ kudūrat boltī hai
vo patthar mom ban jaa.e na kaise
ki sar chaḌh ke mohabbat boltī hai
zabān-e-ilm par taale paḌe haiñ
ba-zo.am-e-ḳhud jahālat boltī hai
zabāneñ kaaT dī jaatī haiñ phir bhī
rag-o-pai se mohabbat boltī hai
'valī' kī zindagī ā.īna-sūrat
sadāqat hī sadāqat boltī hai
imarat ho ki ghurbat bolti hai
ba-har-surat sharafat bolti hai
wahan bazar ka hota hai manzar
jahan ghar ki zarurat bolti hai
zaban KHamosh hi rahti hai lekin
mere chehre ki rangat bolti hai
ba-zahir guftugu hai muKHlisana
magar dil mein kudurat bolti hai
wo patthar mom ban jae na kaise
ki sar chaDh ke mohabbat bolti hai
zaban-e-ilm par tale paDe hain
ba-zoam-e-KHud jahaalat bolti hai
zabanen kaT di jati hain phir bhi
rag-o-pai se mohabbat bolti hai
'wali' ki zindagi aaina-surat
sadaqat hi sadaqat bolti hai
RECITATIONS
Unknown
00:00/00:00
Amarat ho ke gurbat bolti hai
Unknown
Source: Book : Roomani Ghazlen (Pg. 50) Author : Samina Hijab Publication : Maktaba Jamia Limited, New Delhi (1997) Edition : 1997 Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish
Leave a comment