rah-e-hayāt meñ koī charāġh hī na milā
kisī dimāġh se apnā dimāġh hī na milā
ġham-e-zamāna se fursat to mil bhī saktī thī
tumhārī yaad se lekin farāġh hī na milā
silā-e-ḳhās kī lazzat ko umr-bhar tarse
ki un ke haath se koī ayāġh hī na milā
ba-juz latāfat ehsās-e-justujū dil meñ
nigār-e-rafta kā koī surāġh hī na milā
tum us se pūchhte ho lazzat-e-ġham-e-hijrāñ
ġham-e-hayāt se jis ko farāġh hī na milā
bas ab ye ḳhūn-e-tamannā ho nazr-e-vīrāna
talāsh thī hameñ jis kī vo baaġh hī na milā
tumhī batāo ki aise meñ kyā banāte ghar
ki ghar ke vāste koī charāġh hī na milā
har ek shaḳhs se hañs kar mile jo ham 'nūrī'
hamāre siine meñ duniyā ko daaġh hī na milā
rah-e-hayat mein koi charagh hi na mila
kisi dimagh se apna dimagh hi na mila
gham-e-zamana se fursat to mil bhi sakti thi
tumhaari yaad se lekin faragh hi na mila
sila-e-KHas ki lazzat ko umr-bhar tarse
ki un ke hath se koi ayagh hi na mila
ba-juz latafat ehsas-e-justuju dil mein
nigar-e-rafta ka koi suragh hi na mila
tum us se puchhte ho lazzat-e-gham-e-hijran
gham-e-hayat se jis ko faragh hi na mila
bas ab ye KHun-e-tamanna ho nazr-e-virana
talash thi hamein jis ki wo bagh hi na mila
tumhi batao ki aise mein kya banate ghar
ki ghar ke waste koi charagh hi na mila
har ek shaKHs se hans kar mile jo hum 'nuri'
hamare sine mein duniya ko dagh hi na mila
Leave a comment