Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Barq Hyderabadi

  • Ghazal


wufur-e-shauq mein aah-o-fughan ko bhul gae


vufūr-e-shauq meñ āh-o-fuġhāñ ko bhuul ga.e
tum aa ga.e to ġham-e-do-jahāñ ko bhuul ga.e

asīr-e-ġham haiñ qafas meñ guzār lete haiñ
chaman ko bhuul ga.e āshiyāñ ko bhuul ga.e

hayāt-e-chand-nafas meñ kashākash-e-paiham
rahī hai utnī ki dard-e-nihāñ ko bhuul ga.e

darāz-dastī-e-aġhyār kā gilā kyā hai
adū ko bhuul ga.e mehrbāñ ko bhuul ga.e

rah-e-hayāt kī manzil ajiib pechīda
kahāñ kī raah ḳhud ham kārvāñ ko bhuul ga.e

sunā.eñ ishq kī rūdād kyā tumheñ ai 'barq'
hai muḳhtasar sī magar dāstāñ ko bhuul ga.e

wufur-e-shauq mein aah-o-fughan ko bhul gae
tum aa gae to gham-e-do-jahan ko bhul gae

asir-e-gham hain qafas mein guzar lete hain
chaman ko bhul gae aashiyan ko bhul gae

hayat-e-chand-nafas mein kashakash-e-paiham
rahi hai utni ki dard-e-nihan ko bhul gae

daraaz-dasti-e-aghyar ka gila kya hai
adu ko bhul gae mehrban ko bhul gae

rah-e-hayat ki manzil ajib pechida
kahan ki rah KHud hum karwan ko bhul gae

sunaen ishq ki rudad kya tumhein ai 'barq'
hai muKHtasar si magar dastan ko bhul gae


Source:

Leave a comment

+