vo shahr ittifāq se nahīñ milā
hameñ to kuchh bhī ḳhaak se nahīñ milā
nahīñ miyāñ bujhā huā nahīñ ye dil
nahīñ hameñ ye taaq se nahīñ milā
kidhar gayā vo kūza-gar ḳhabar nahīñ
koī surāġh chaak se nahīñ milā
samundaroñ pe sarsarī nigāh kī
ye dasht inhimāk se nahīñ milā
sab aa.ine ye dhuul dekhte rahe
koī tire halāk se nahīñ milā
wo shahr ittifaq se nahin mila
hamein to kuchh bhi KHak se nahin mila
nahin miyan bujha hua nahin ye dil
nahin hamein ye taq se nahin mila
kidhar gaya wo kuza-gar KHabar nahin
koi suragh chaak se nahin mila
samundaron pe sarsari nigah ki
ye dasht inhimak se nahin mila
sab aaine ye dhul dekhte rahe
koi tere halak se nahin mila
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment