ajnabī shahar kī ajnabī shaam meñ
zindagī Dhal ga.ī malgajī shaam meñ
shaam āñkhoñ meñ utrī usī shaam ko
zindagī se ga.ī zindagī shaam meñ
dard kī lahr meñ zindagī bah ga.ī
umr yuuñ kaT ga.ī hijr kī shaam meñ
ishq par āfrīñ jo salāmat rahā
us bikhartī huī surma.ī shaam meñ
merī palkoñ kī chilman pe jo ḳhvāb the
vo to sab jal ga.e is bujhī shaam meñ
har taraf ashk aur siskiyāñ hijr kī
dard hī dard hai har ghaḌī shaam meñ
āḳhirī baar aayā thā milne koī
hijr mujh ko milā vasl kī shaam meñ
raat 'shāhīn' āñkhoñ meñ kaTne lagī
is tarah gum huī raushnī shaam meñ
ajnabi shahar ki ajnabi sham mein
zindagi Dhal gai malgaji sham mein
sham aankhon mein utri usi sham ko
zindagi se gai zindagi sham mein
dard ki lahr mein zindagi bah gai
umr yun kaT gai hijr ki sham mein
ishq par aafrin jo salamat raha
us bikharti hui surmai sham mein
meri palkon ki chilman pe jo KHwab the
wo to sab jal gae is bujhi sham mein
har taraf ashk aur siskiyan hijr ki
dard hi dard hai har ghaDi sham mein
aaKHiri bar aaya tha milne koi
hijr mujh ko mila wasl ki sham mein
raat 'shahin' aankhon mein kaTne lagi
is tarah gum hui raushni sham mein
Leave a comment