Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Aamir

  • Ghazal


agarche haal o hawadis ki hukmarani hai


agarche haal o havādis kī hukmarānī hai
har ek shaḳhs kī apnī bhī ik kahānī hai

maiñ aaj kal ke tasavvur se shād-kām to huuñ
ye aur baat ki do pal kī zindagānī hai

nishān raah ke dekhe to ye ḳhayāl aayā
mirā qadam bhī kisī ke liye nishānī hai

ḳhizāñ nahīñ hai ba-juz ik taraddud-e-bejā
chaman khilāo agar zauq-e-bāġhbānī hai

kabhī na haal huā merā tere hasb-e-mizāj
na samjhā tū ki yahī terī bad-gumānī hai

na samjhe ashk-fishānī ko koī māyūsī
hai dil meñ aag agar aañkh meñ bhī paanī hai

milā to un kā milā saath ham ko ai 'āmir'
na dauḌnā hai jinheñ aur na choT khānī hai

agarche haal o hawadis ki hukmarani hai
har ek shaKHs ki apni bhi ek kahani hai

main aaj kal ke tasawwur se shad-kaam to hun
ye aur baat ki do pal ki zindagani hai

nishan rah ke dekhe to ye KHayal aaya
mera qadam bhi kisi ke liye nishani hai

KHizan nahin hai ba-juz ek taraddud-e-beja
chaman khilao agar zauq-e-baghbani hai

kabhi na haal hua mera tere hasb-e-mizaj
na samjha tu ki yahi teri bad-gumani hai

na samjhe ashk-fishani ko koi mayusi
hai dil mein aag agar aankh mein bhi pani hai

mila to un ka mila sath hum ko ai 'amir'
na dauDna hai jinhen aur na choT khani hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+